Saturday 25 January 2014

KNOW YOUR RIGHTS ( BY-CONSTITUTION OF INDIA)



Sambidhaan deta hai adhikaar hume samaanta ka,naa koi jaati,dharm ka bhaidbhaab ho;
prem se raho sang sbke,chahe koi besahara ho ya besak koi nawab ho.
adhikaar hai humko har mandir,masjid,church gurudwaare jaane ka;
aur mil baith k sang sab dharmo k khusian apni manaaney ka.
adhikaar hai tumko meri tarah samaksh sbke baat apni kehney ka;
poore bharat mai ghumo befikar,kahin bhi basne aur rehney ka.
adhikaar hai har bache ko padne ka,paustik bhojan khaaney ka;
adhikaar hai hum sbko khushi khushi jeevan apna bitaaney ka.
adhikaar sambidhaan mai likhe hai,kartavyo ka bhi bakhaan hai;
dunia ka sbse lamba,sbse bada hamaara sambidhaan hai.
apne desh ka sammaan karo,rashtra gaan ka gungaan kro;
tirangey ki badao tum shaan,kaam hatke kuch mahaan karo.


jai hind


$andy's

Friday 24 January 2014

DIL KE RAAJ(Pehli Urdu kavita)



Mozu badaltey hain sayari k roj zikar-e-dil tera hota hi hai;

kosish kartey hain roj hasaaney ki tujhko fir v kambakht hardum rota hi hai.

Mukhtalif hain dil sbkey,haal-e-dil inka ek hi hai;

satahi-rakva ho dil ka shaant beshak,bavaal-e-dil inka ek hi hai.

Dil ka havza mujhe apna maloom nahi,bheetar iskey kahin koi mauzood to nai;

Ae dil ki shakal kya hai teri ,hai isteybana ya koi makhrood to nai;

havza ho jo v dil ka beshak,samaaney ko samaa jaaye zamaana saara;

ik khoj mai us chupi dil ki sayari mai lagey mujhko jahaan poora begaana saara.

Mushakkaton k baad us chupi sayari ko paaya hai,aaj sayar-e-sayari bana du tujhe;

Ae dil main dafan jo sayari teri aaj khud padd k mai suna du tujhe.

$andy's
Urdu-shabad- 
Mozu-title
rakva-area
havza-volume
makhrood-cone
mukhtalif-alag alag
isteybana-cylinder

Sunday 19 January 2014

JEENA ISI KA NAAM HAI :)



Bus mai safar krtey hue, agar kisi bachey ko muh chidaatey ho tum;

kisi ki galti pe usey daant-tey nahi pyar se samjhaatey ho tum.

Theley pe golgappe chaat pakodi agar sang dosto k khaatey ho tum;

baarish k dino mai,baarish ki boondon se khud ko bhigaatey ho tum.

Kisi anjaan se hass k, muskura k batiyaatey ho tum.

Apne hissey ki cheej koi kisi doosre ko khilaatey ho tum.

Apni utpataang harkatto se logo ko hasaatey ho tum.

Aise karte ho to sahi maayney mai zindagi bitaate ho tum.

Keep it up 
$andy's

Friday 17 January 2014

HERO OF THE PLANET



Wo jo sb praanio ko samjhe ek jesa;
jiske liye naa maayney rakhta ho kuch paisa.
jo hasta hua lagaaye prem se galey sbko;
jo soch rakhta ho oonchi,de pravachan bhley sbko.
jo akela kuch karney ka rakhta ho josh;
jo doosre ki galti pe lagaaye khud ko dosh.
jo bina kisi swaarth k sirf dena jaanta ho;
jo ek iswar ki sbko santaan maanta ho.
jo sab ko khush rakhey,apni paresaanio ka naa dikhaava krey;
jo pura har apna kiya hua dil se daava kre.
lakh mai 1 ke peeche lagi amulya zero hai wo.
wo jo insaani zindagi ka pura lufat uthaaye "planet ka sacha hero hai wo.

$andy's

Thursday 16 January 2014

Do pall hasso to sahi :)




Koi hasse daant dikha k, koi hassey muh chupaakey;

koi hasse bakri jese, hassey koi thoda dum lagaakey.

Haste hua chehre sabke dil ko bhaata hai;

kisi ko jabaran hassaana pade,koi aisa jo poore jag ko hasaata hai.

Hasne se lahu badey, hass k thoda sa tum kaam ik mahaan kar do;

agar lagta hai hass-hass k thak gye to beshak thoda lahu daan kar do.

Hassi k pall hai, jinhe yaad krke poori zindagi muskuraatey ho tum;

koi to hoga khaas tumhaara jise sache dil se hasaatey ho tum.
$andy's

SACHA AASHIQ KON BHALA?



Aasiqa goongi,aasiq behra;

phir v unmai pyar h gehra.

Aasiq kuch sun naa paaye, aasiqa uski kuch keh naa paaye;

phir v unmai connection aisa bin ik duje k reh naa paaye.

Aasiq geet aasiqa k apne khyali mann mai sunta hai wo;

khyali dhaage se kayi khyal goongi aasiqa ke bunta hai wo.

Kbhi raat ke sanaate mai andhere mai kahi kho jaate hain wo;

khone ke darr se baandh k hathkadiyan haatho mai so jaate hain wo.

Karke harkatte,muh fulla k ik duje ko hasaate hai wo;

ishaare ishaaron mai baatein dilon ki samajh jaate hai wo.

Pyar do dilon ka mail hai, nahi koi jung ek tarfi;

sacha aasiq to wohi hai ek ,naam hai jiska "burfi" :)
$andy's


Tuesday 14 January 2014

BHAVISYA KI UDAAN (FLIGHT TO FUTURE)



Karkey main samay yatra bhavisya ko, jaan lun apney;

har doraahe mai se raastey uchit, pehchaan lun apney.

Jaan pau kya ab zindagi mai kya naya ,hone waala hai;

saathi kon naya milega mujhe konsa saathi, khone waala hai.

Ye udaan bhavisya ki  aaney waale kal se avgat karwaegi mujhe;

kin raahon pe chalna hai,kis saathi ko chun-na hai,ye sb bataegi mujhe.

Pata hoga fir mujhe, kis muskil ko, kis vaadha ko kese mujhe haraana hai;

Iske liye bs kalpana ke pankh laga k soch k saagar mai doob jaana hai.

kar paaya poori is udaan ko to raaj saari dunia k jaan jaunga mai;

Haath thaamo mera chalo chaley,bin tumhaarey bhla kese jaa paunga mai.
$andy's

Monday 13 January 2014

THE BURNING HUMAN( jealousy...... )


Kisi ke chehre se,kisi ke khaane se;
kisi ke dost se,kisi ke diwaane se.
kisikisi ki kaamyavi se,kisi ke dikhaave se,
kisi ki gaadi to kisi ke pehnaave se;
hoti hai jalan aksar jb koi tumse laazbaav kre;
aur aksar jb koi behtar tumse kisi ka chunaav kre.
jalan ka kaaran nafrat hai,nafrat mohobatt ko mita-ti hai;
jalan insaan ko akela mayush kr ke sch mai bda tadpaati hai.
jala hua insaan beshak kaala nahi hota;
har saksh tumhaara saala nai hota.
par fir v kaantey sa chubhney lagta hai insaan;
jalan ko mitao dikhao mat jhoothi tum apni shaan.
tyaag kar do kaam krodh lobh moh ahankaar ka;
raasta sacha apna lo tum,jo hai ruhaani pyaar ka.
love always,love all :)
$andy's


Sunday 12 January 2014

KOOP MANDOOK ( FROG IN THE WELL)





Tumhaare khyal se kesi hai zindagi,kya ye ansuljhi paheli hai koi;

Ya har dum hasaaney rulaaney waali ik sundar si saheli hai koi.

Kya dekha hai tumne zeevan mai,santusti ka daaman ko thaam liya;

Socho zara gehrai se mahaan kya zeevan mai tumne aisa kaam kiya.

Koop mandook bno nahi,dekho duniya hai kitni bdi;

Chalaang lagegi lambi utni, taangein failaogey jitni bdi.

Dharti vishaal hai,baahar iske v bhrahmaand bada jahan pargrahion ka vaas hai;

khaali bethey rahe to ye sab dekhoge kb,sirf ek zindagi hi tumhaare paas hai.

Explore universe njoy ur life
.
$andy's

Saturday 11 January 2014

PYAAR YA VYAAPAAR (LOVE OR TRADE) :)



Ik ladka soche aksar, kaas apney paas car hoti bunglow bda sa ik apna hota;

hota poora dekha us haseena ko apni banaaney ka beshak harr sapna hota.

Wo maangey jo usko laa kar dun,harr khywais uski mai poori karu;

kuch v kar jau uske liye,kese v karke kamm beech apne ye doori karu.

Kbhi jaan zaukhim mai daali,kbhi chori to kbhi jhooth ka sahaara liya;

pyaar paane k liye kiya wo sab maine,naacha jese usnai mujhe ishaara kiya.

Par aakhir ye sab karna hi kya asal mai pyaar hota hai;

pagal hai wo aashiq jo jaan jaukhim mai daalne ko v taiyaar hota hai.

Door rehna hi acha hai unsai ,jise aashiq se jyaada pyaara paisa, bunglow aur caaar hota hai;

isey sandy poet pyaar nahi maanta, ye to seedha saadha vyaapaar hota hai.

$andy's

$andy's world of imaginations($WOI)-World of desires :



Ek duniya,jahaan ik pall din to doosrey hi pall raat hoti hai;

jahaan aasmaan se rangeen paani ki barsaat hoti hai.

Ho k sawaar titliyo pe log bhartey hain udaan;

hai jahan pe ik khushi ki,ik roshni aur ik gyan ki dukaan.

Musaafir akshar isey kavitaon ki nagri kehte hain kai;

yahan harr tarah k jeev jaadui rehtey hain kai.

Yaha jo sochogey wo hi saamney paaogey tum;

sangeet ki nagri mai gye ik baar,wahin k ho jaaogey tum.

Aksar us duniya mai jaata hun mai ;

khusiyan aur gyan wholesale mai khareed k laata hun mai.

Aisi nagri jahan k har jeev aapko pehchaantey hain sabhi;

kaalpnik duniya hai ye wohi jisey $WOI k naam se jaantey hain sabhi.
$andy's

Thursday 9 January 2014

DO YOU LOVE POETRY?



Wo chaahat ke kagaar pe khade ab chaahat se oob gye hain wo;

zindagi naam ke gehre khaare samandar mai doob gye hain wo.

Kbhi unke dilo mai chahat ka,us tilasmi mohobatt ka raaj tha;

tha unhe khud se jyada apne pyar,apni chahat pe naaj tha.

Wo mohobatti pyar ka ab koi ansh nai,murjhaaye chehre har jagah bs dikhte hai ab;

swarth ka pyar hai ab harr jagah,sacha pyar pe to bs kavitayein ab likhte hai sab.

$andy's

Wednesday 8 January 2014

ATTRACTION (famous hindi poem by $andy poet)


    
Maya nagri ke sunder jaal mai;
Fas gaya mai abhi haal mai.
Ladki rehti thi ghar ke paas ek kiraaye ke makaan mai;
Kabhi dikhti chatt pe to kbhi laala ji ki dukaan mai.


Hum dekhte they,wo v chatt se apni nihaarti thi;
Dekh hame muskura k baal wo apney savaarti thi.
Mand mand ishaaro ka tha silsila beech hamaare jaari;
Par baat karne ki try na pehle kisi nai maari.
Wo jaati thi jis aur hota tha usi aur hamaara v rukh;
Dil rota tha bahut jab kbhi naa dikhta tha uska mukh.



Roj subha jab wo chatt pe baal sukhaaney aati thi ;
Aisi sundarata ko dekh hamaari jaan nikal jaati thi.
Paakar usey mai jeetna chahta tha pyaar ki is ladaai ko;
uskey khaatir bhula betha mai apney parivaar aur padai ko.
Aayi chatt par ek raat lag rahi thi mukh se bahut udaas;
Aise nihaar rahi thi maano aana chahti ho mere paas.
Us raat naa jaaney kyu mann mera ghabraaney laga;
Sang uskey bitaaya harr lamha mere dil ko sataaney laga.




Agley din naa aayi wo,ki mainey bahot pratiksha;
Raat hui to yaad aaya kal hai meri vaarshik pariksha.
Jhaadi mitti pushtako se, khola pehla maine paath;
Ghadi nai bhi usi pall bajaa diye raat ke aath.



Padney ko mujko padi thi poori kitaab full;
Utney mai hi kambakht bijli bhi ho gyi gull.
Nikaal candle padney laga,aayi khudpe mujhe bhot laaj;
Poorey varsh ki mauj masti ki sajaa mil rahi thi mujhe aaj.




Pad raha tha kitaab par tha usme hi mera dhyaan;
Ek raat mai kitaabo se lena chahta tha poorey varsh ka gyaan.
Samay tha kamm aakhir jaroori tha raat ko sona;
Apni aisi haalat pe aa raha tha mujhko rona…



Naa jaaney padtey padtey kab lag gyi meri jhapki;
Us raat bhi wo ladki fir mere sapno mai aa tapki.



Raat bhar sapno mai usney khoob khalal machaya;
6 bajtey hi subha ke maa ne mujhe jagaaya.
Fir ankhein maltey maltey pahuncha mai nahaaney;
Naha kar fir chal diya mandir ,bhagvaan ko rishvat khilaaney,
Mandir se aatey hi maa nai garma garam paraanthey parosey;
Chal diya fir pariksha deney, chod sabkuch khuda bharosey.
Pariksha haal mai  bethkar mann mera bahot ghabraaya;
Prashan patarr dekhtey hi mujhe kuch samajh nahi aaya.
Naam likh kar uttar pushtika khaali saari chod di;
“Ho gya” kehkar pustika vapis masterji ko mod di.




Pariksha hall se nikaltey hi sir mera chakraaney laga;
Us ladki ke liye gaya harr geet mann mera gungunaaney laga.
Harr paper main,mai utarr pustika khaali chod kar aaya;
Dekha aapney kese is aakarshan ke jaal ne mujhe fhasaaya.
Har pariksha ke baad mai apni chatt ke usi kauney mai khad jaata;
Khadey khadey intejaar mai uskey fir din agla chad aata.
Do maah beet gye mai gya ik din uskey gharr;
Poocha mainey ladki rehti hai jo yahaan zara usko bulaana ;
Bataaya unhoney kamra chodey usko gujar gya hai zamaana. 


Teen maah pehley tha kamra usney chod diya;
Bin bataaye jaakar dil mera usney taud diya.
Us din ke baad naa hua hamaara kabhi mail;
Vaarshik pariksha mai bhi kaaran uskey ho gya mai fail.



Ek aakarshan nai mera poora saal barbaad kar daala.
Meri tarah aapko bhi fasaa sakta hai aakarshan ka ye jaala.
Yuva avastha mai hua pyaar aakarshan hi kehlaata hai;
Yahi hmaarey kadmo ko manzil tak pahunchney se dagmagaata hai.



$andy's

Tuesday 7 January 2014

SYMPTOMS OF FIRST LOVE(Ek aashiq ka dard tum kya jaano duniya waalo)



Ek aashiq ka dard tum kya jaano duniya waalo 
 


Kuch tanhaai k manzar they,kuch dard sa tha seeney mai;

kuch ney zindagi gavai peeney mai,kuch ko maza naa laga aur jeeney mai.

Bhataktey aansuo ko kahi manzil naa mili,laut aaye waapis aankho mai;

kuch gumm k aansu liye ghut-tey rahey,kuch bekaabu pahunchey salaakhon mai.

Kon jaanta tha kbhi isq ka kohra itna ghana cha chaega;

kambakht harr jagah sirf ek hi chehra nazar aayega;

Ek dil dhadakta hai bus,apne zinda hone ka yahi pramaan h yahan;

hain kon hum aakhir, kiskey intejaar mai hain, isi baat se harr koi pareshaan hai yahan.

Aaj kavita mai dukh hai dard hai,kuch hai naya saa maano koi tukbandi koi rhyme nai h;

chaand v kehta hai miya aajkal bdey busy rehtey ho humey dekhney ka v tumhey time nai h.

Hum v aasma ki taraf dekhtey huey kehtey hain jis tarah tu roj bhais badal-badal k aasmaa mai chalta hai dost;

vaise hi ek na ek din harr kisi ki zindagi mai chaand ka matlab badalta h dost 

$andy's

Monday 6 January 2014

MANZILO SE SUNHERE RAASTEY.... :)


Manzilo se sunhere raaste:)

Mil jaati manzil itni aasaani se,to koi manzil paane mai naa rehta maza;

naa hote muskil raastey,naa zindagi jeene ki koi hoti wajah.

Zindagi jeene se hai,raastey jeena sikhaate hain hame;

gum,khushi,krodh k aansuon ko peena sikhaate hain hame.

manzil hai anntt zeevan ka,ye muskilo se bhre raashte hi sirf apne hote hai yaaro;

raashte hi hakeekat hain zindagi ki,manziley isiliye sirf sapney hote hai yaaro.

$andy's

RAANJHANAA poet's version

RAANJHANAA poet's version*


Teri yaado mai main jeeta rahu;

ye aansu gum k main peeta rahu.

Jb dekha tujhe,tujhe paana chaha;

apne hal-e ko tujhe bataana chaha.

Tu paas thi fir mujhse dooor gyi;

laga jese raanjhe ke haatho se hooor gyi.

Waqt ke saaye mai mujhe bhulaaya tuney;

nadiya bhar aankho se mujhe rulaaya tuney;

kho k tujhe gumm mai v tere liye muskuraya maine;

apney haatho se tere haath ko kisi aur k haath mai thamaaya maine.

Wo mauka mila mujhe paane ka tujhe;

apni dil ki mohobbat sari dikhaane ka tujhe.

Tera pyar v mainey cheena fir tujhse;

dil bhooley pyar ko kese,bhaga dooor kameena fir tujhse.

Harr ghadi harr palak pe tera intejaar tha mujhe;

kya kiya tha galat jo maine bus ik tujhse hi to pyar tha mujhe.

Saanso ki kadiyaan jb meri rukney lagi;

dil ki daaliyan meri aur fir teri jukhney lagi.

Par ab thak chuka hai dil isey ab soney do zarra;

roya hu jis k liye saari umar usey v kuch pall mujhpe roney do zarra.
$andy's

Sunday 5 January 2014

APNI BEAUTY PARLOUR KI DUKAAN


APNI BEAUTY PARLOUR KI DUKAAN 

Harr ladkey ki ek yahi khwais k jahaan mai apni koi pehchaan hoti;

hoti kaas girls hostel k saamney beauty parlour ki apni ik dukaan hoti.

dukaan mai hum sastey apney daam rakhtey;

apni girlfriend ka sign board mai naam rakhtey.

assistant apna koi andha hota ;

masha allah bda hi sahi apna ye dhanda hota.

sabko kartey facial, haircut v detey,eyeshade v kuch khaas banaatey;

roj aaney waaley grahako k liye monthly discount waala ik paas banaatey.

aur biwi poocchti k kon si nokri kartey ho tum;

kyu bataaney se mujhe mukartey ho tum .

naa aaney ka time, hai naa jaaney ka time;

naa khaaney ka time, naa humse batiyaaney ka time.

scientist ho ,doctor ho yaa fauz mai ho;

sakal dekh k lagta hai jese poori mauz mai ho.

sach sach batao chakkar kya hai roj ladkio k, kapdo se nikaltey baal h tumhaarey;

kyu sharam se huey laal ye gubbarey se gaal hai tumhaarey.

ye dhanda beshak badiya hai ,swarg se behtar apni life hogi;

par swarg mai v chain nai paogey gar itni shakki mizaaz ki tumhaari wife hogi.

  

$andy's

Saturday 4 January 2014

LIFE JOURNEY OF TINY(a rain drop)



LIFE JOURNEY OF TINY(a rain drop)*

Baadlon k jhurmut mai ek choti si boond ik tiny;

natkhat si do aankhein jiski badi shiny shiny.

Kaaley baadlon mai jab bijli joroon se chamkney lagey;

dhadak dhadak tiny ka chota sa dil dhamakney lagey.

Aaya ik din aisa jab khul k hui barsaat;

lagaai chalaang upar se usney pakad k dosto ka haath.

Suraj ki roshni jab bheetar se uskey jaane lagi;

Tiny satrangi peengh aasmaan mai banaane lagi.

Ik din aaya fir ye giri zameen pe ik ghar ke chattey pe;

pahunchi wahan se naali mai kbhi kaagzi kashti pe sawaar,to kbhi murjhaaye pattey pe.

Naaliyo se hotey hue nadi mai jaa k hazaro dosto k jhund mai ghusi tiny;

thi romanchit,thodi darri si,par dil se badi thi khushi tiny.

Nadi ke sang sang duniya poori ghoomi tiny;

fir ek din aaya jb mil gyi wo vishal sagar se,khushi se fir jhoomi tiny.

Ek din fir aayega jb ban k bhaap ud jaegi tiny,boond ban k koodegi fir aankhein apne moondein kbhi;

aap udaas mat hoiye,ye safar chalta rahega kyonki marti nahi boondein kbhi.
$andy's

THE POET TREE



THE POET TREE(mahakavita by $andy poet)

Insaani isq ke madhmast ehsaas nai daali mujhpe aese chavvi;
Sochu mai ek paid ho kar bhi ban gya aakhir kese kavvi.
Paid ho kar bhi mujhe ek ladki se ho isk gya ;
Bheja mera bhi aashiko jesa thoda khishak gya.
Aakhir mai bhi to prani hu,mujhe bhi isk karne ka adhikaar hai;
Mumkin hai sb lekin muskil karna usse pyar ka ijhaar hai.
Wo phoolon si muskuraati hui ,roj mujhse milne aati hai;
Kabhi sir rakh mujhpe soti hai,to kabhi naa jaane kyu aansu bahati hai.
Uske murjhaaye hue chehre par jab apne patte mai barsata hu;
Wo upar dekh k hasti hai thoda,aur mai v dekh use muskuraata hu.
Kabhi jee chahta hai,apni baahon mai uthakar fal taud kar khilau use;
Ab baat itni bad chuki hai,kyu naa apne maa-baabu se milau use.
Jee chahta hai use khusian du itni k khusian kbhi kam naa hone paaye;
Naa gam ho jeevan mai uske aur palke uski kbhi nam naa hone paaye.
Sochta hu naa jaane use paas mere aa k kya milta hoga sokoon ;
Jo roj mujhse milne chali aati hai chahe December ho ya june.
Thithuraate hue kabhi thand mai bethi rehti hai khamosh mere sahare;
Ya tapti dhoop mai ,chaaya mai so jaati hai mere kinaare.
Aksar nihaaru uske chehre ko,sochu kyu ye samay ruk nai sakta;
Choona chahu uske komal gaalon ko,par vivash ye paid jhuk nai sakta.
Din dhalte hi samajh jaata hu ,ab akela mujhe chod chali jayegi ye;
Par dil behla leta hu kehke ki kal fir milne tujhse aayegi ye.
Ek raat wo gyi ,mai khoya khyaalo mai use nihaar rha tha;
Aur neeche ek sajjan mere tanne pe kulhaadi maar rha tha.
Dekh najaara neeche ka mai ghabraaya aur jhatpataane laga;
Us ladki ke sang bitaaya har lamha yaad mujhe aane laga.
Aankhein hoti kaas meri jo,kuch pal ro leta uski yaad mai;
Kuch pal ki zindagi meri sesh thi ,jo hoti nahi kuch pal baad mai.
Sahaara dene waala kat ke gira ye zor se ho k beshaare;
Sapne kya sajaaye they maine,toot gye saare k saare.
Ae dunia waalo tumne ik sache aashik ko uski aashika se kyu kiya juda;
Dard tumhe v dega judaai ka wo upar betha hua khuda.
Maine tumhe jeene ko saanse di,fal,lakdi,apna maine sab diya;
Par bharosha uth gya insaano se,dard judaai ka inhone mujhko jab diya.
Mat kaato hame,kro ham par tum thoda sa upkaar;
hum bhi dekhna chahte k kesa hota hai ye insaani pyaar.
Hum dhaai aksar naa samjhe besak prem ke,samjhe ho sayad daidh hi;
Par tum kya samjhoge hmaare jajbaato ko aakhir hai to hm ek paid hi.

save trees let dem love............
$andy's

THE LOVE AGREEMENT

Hi friends, I want a little help from you. I have published a new book titled, "The love agreement" (एक प्रेम-समझौता).I am...

Popular Posts