Sunday 28 December 2014

THE AFTER COLLEGE EHSAAS


Kahaaniya aapne college life pe to bhot suni hongi padi hongi , aur yakeen maaniye un kahaaniyo ko sun sun k  aap bore ho chukey hongey..college ko yaad kartey hi aapko 3 idiots ka kissing scene ya student of the year ki aaliya bhatt yaad aati hogi..yehi baar baar repeat hota hai scene..kyunki aksar college mai sab k saath ek jesi ghatnaayein ghat ti  hain.. aur sabkey saath ye ghatnaayein pehli baar ghatt rahi hoti hain to unhe nayapan lagta hai aur wo un kahaaniyo ko kitaabo mai likh daaltey hain… yr kahaaniyan aksar ek aakarshan se shuru hoti hain.. ladki ko paaney ki zadozahat.. kuch raanjhanaa jesi to kuch rabb ne ban di Jodi jesi  aur thodi emotional kahaani aur fir maa baap se baat aur is tarah unki baat pakki ..aur lo ji mubarak ho ladka hua hai…is kahaani ko harr jagah tod marod kar dikhaaya jaata hai ..kisi mai ladki raazi nahi hoti..ek dum nakhrey waali..maano ussey sundar dunia mai koi bhi nahi.. kisi mai ladka raazi nahi hota maano shehnshah ho..to kisi mai ladki k maa baap to kisi mai ladkey k maa baap ..ab aap 2 states ki kahaani mai kho jaaengey par  kahaani mai twist aata hai jab koi doosra ladka us ladki ko chaahhney lag jaata hai… ladaai jhagda hota hai.. mard jaanvaro ki tarah apni shakti ka pradarshan karta hai aur balbaan mard ladki ko haasil kar leta hai.. yehi kahaani sadiyon se hazaaro saalo se chalti aa rahi hai..aur yehi insaan ki..ya yun   kahey dharti pe harr praani ki yehi kahaani hai,..bass farak is baat ka hai k jaanvaro k case mai maata pita ka koi hastkshep nahi hota ..college ek bhot hi shaandaar jagah hoti hai.. jahaan duniya aapkey ishaaro pe naachti hai.. mauz hoti hai.. achey dost.. kuch jinse pyaar ho jaata hai..kuch jinka dubaara kabhi muh dekhne ka bhi mann nahi karta ..college prem nagri hai.jahan aksar naujabaan logo ko apna jeevan saathi mil jaata hai kyunki ek saath chaar saal bitaaney waaley ladka ladki ik doosrey k baarey mai bahut kuch jaan jaatey hain aur is tarah shaadi k bandhan mai bandhney k liye wo taiiiyaar rehtey hain.. par meri kahaani to college se kahin parey hai ..meri kahaani mai college ki masti nahi..maashuka k haatho khaaya khaana nahi.. meri kahaani mai wo college k peechey kissing scene nahi.. naa hi hostel ki chaardiwaari k beech ka wo awaarapan hai .. naa lectures hain..naa professors .. naa unkey chamchey.. naa hi last bench mai girlfriend k haath pakdey betha koi boyfriend hai.. naa hi wo non veg chutkuley hain ..naa baarish mai bheegey huey couples hain naa college canteen .. naa ho wo naatak mandli jo shehar shehar jaa kar apney college mai honey waaley fest ki promotion karti hai.. meri kahaani mai ye sab kuch bhi nahi hai.. meri kahaani aapko nahi padni chaahiye agar aap ye sab padna chaahtey hain.. par padni chaahiye agar aap ye sab kuch miss kar rahey hain…college se nikal kar mai bhot khushh tha aakhiri din tha.. chaar saal ek hi tarah k saathiyon k saath reh kar mai pakk chukka tha ..duniya dekhney ko mann chaah raha tha.. duniya wo duniya jisme arbo kharbo log rehtey hain .. ..college mai kaafi dost they.. itney ki saara saal ek ek din ek ek  k ghar rahun to kamaaney ki zarurat nahi…par zindagi abhi shuru hui hai mere dost.. ab tak aap zindagi ko nacha rahey they ab aapki baari…
Farewell party mai meri  khoobsoorat girlfriend( sabki hoti hai.. to meri bhi thi ofcourse)  jo ki duniya ki sabsey khoobsoorat ladki thi aisa mai manta tha..aap sayad aisa apni girlfriend k liye maantey hon.. aur ho sakta hai meri girlfriend aisa apney kisi doosrey boyfriend k liye maanti ho.. sambaabnaaye yaani probability kuch bhi ho sakti hai.. ho sakta hai aap bhi kahaani padney k baad mujhe dunia ka sabsey khoobsoorat insaan samajhney lag jaayein.. to meri girl friend naam tha jiska ..chodiye naam mai kya rakha hai..girlfriend hi kaafi hai… to mai apni girlfriend se aakhiri baar mil raha tha.. dono k beech utsukta thi k kesa hoga ik dujey k bina rehna .. akhir chaar saal se ek saath they bore ho chukey they saath reh kar..mere doosrey dost bhi they jinkey aapas mai 36 k aankda tha.. kyunki sab kabhi dost hua kartey they 4 saal k aakir tak sab dushman ban chukey they..yehi dosti hai..par mai aur meri girlfriend hum bhot achey dost they .. humne bhot acha samay bitaaya tha college mai..ab baari thi jaaney ki chalo bina kisi roney dhoney k sab alag alag ho gye koi train se gya koi .. bus se .. koi yahin raha..koi videsh chala gya..koi aagey padney laga koi kuch karney laga ..kisi ne shaadi kar li..to koi apni zindagi sawaarney mai vyast.. madhu makhi jese.. bass shehad nahi detey they..bacha mai yaani mera naam ..chodiye mera naam jaan k aap kya karengey..mai hun B.N.sharma Bey naam Sharma…log mujhe mr. bean keh k bulaatey hain..mere  paas ek choti si job thi .. college mai placement  ka naam o nishaan nahi tha.. kehtey hain naa badi dukaan feeka pakwaan..job ka pehla din kuch samajh naa aaye.. girlfriend ki yaad sataaye ..college k din yaad aaney lagey..aankon se tapka paani..lo shuru ho gyi meri kahaani ..lo ab kahaani shuru ho hi gyi to characters se avgat karwa dun mai yaani bhaarat ka harr degree dhaari naujabaan ladka jiski placement naa hui ho.. ghar se gareeb ho.. kismat se gareeb.. par dil se gareeb naa ho..
Ek aur gumnaam saksh jo meri zindagi mai tha wo jo harr dum mere saath tha mera pen, jo usi girlfriend ne tohfe mai diya tha mujhe.. taaki agar mai akela padd bhi jaaun to apni dil ki baat mai us pen k zariye kagaz par utaar kar usey aap tak pahunchaa saku.. mai bhot hi bhaavhuk kisma ka insaan tha.. meri aankon se aanshu behney ka intezaar kartey rehtey they k kab mai emotional hou..aur wo behna shuru ho jaayein.. ab dil jitna bada utna kamzor ..jitna chota utna mazboot.. concentrated mass is more harder.. jese shotput ball approx 7kg ki hoti hai bhot hard hoti hai .. wahin 7 kilo cotton kitni jyaada hoti hai parr naazuk hoti hai…mujhe office mai kuch acha nahi lagta tha.. mai saara din chup chaap ek koney mai betha rehta chup chaap .. kisi se koi baat nahi..sab hasstey they mazaak kartey they ..but mera dil kahin aur hi tha .. logo mai aksar ye galat fehmi rehti hai k koi naukri lag gya to uskey paas pese hi pese ho jaaengey.. maano wo pese ki khadaan mai laga ho.. parr asal mai ussey din raat.. gadhey ki tarah kaam liya jaata hai..usey insaan nahi samjhaa jaata .. usey nausikhiya naa samajh kar ek degree dhaarak samjha jaata hai ki issey sab kuch pehley se hi aata hai.. par hakeekat ye hai ki koi padaai aur naukri mai din raat ka farak hai.. wahan hum knoeledge le kar aaye they par experience nahi.. par ye baat duniya ko kon samjhaaye unhey to kaam se matlab hai tabhi hari patti milegi.. aur college ki padaaiyo ka to sabko pata hi hota hai ki aakhiri din mai hum exam se ek raat pehle apni kashti samandar mai utaartey hain aur kehtey hain k asli maza to toofaano mai kishti chalaaney ka hai..pyaar mohobatt  se chutkaara milta to kahin hum chain se padd paatey ..par masha alaah humey is din ka ehsaas tha tabhi hamaari ginti college k toppers mai hoti thi.. parr aaj ye samaaj humey topper k padd se ghaseet kar zameen pe le aaya tha..din mai 100 baar mobile dekhna ki watsapp par koi message to nahi aaya kisi ka.. par jahan mai pareshaan waha meri girlfriend pareshaan to wahan mere dost bhi.. sayad kyunki college se to sabhi nikle they akela mai hi nahi..pehli baar zindagi mai kabhi kisi ki itni yaad aai .. kisi ko itna miss kia..kese koi chaar saal ki dosti ko itni jaldi bhool sakta hai.. aur mere jesa insaaan to kabhi bhool hi nahi sakta .. office k dheerey dheerey journeys shuru honey lagi ..kabhi shimla kabhi dehradoon kabhi bhatinda .. kabhi ludiana.. kabhi patila.. kabhi Nepal..kabhi Amritsar office k kaam se door door jaana pada .. pehli baar zindagi mai akela raha mummy papa se alag ,,pehli baar zindagi mai akela soya .. door ghar se door… pehli baar sir pe office  ki responsibilities..pehli baar tension se sir pe safaid baal nikla.. pehli baar train ka safar kiya..pehli baar akele andheri dhund bhari raaton mai akela chala ..pehli baar mainey baahar khaana khaaya ..pehli salary …pehla bonus.. pehli boss ki daant.. pehla office ki politics mai kadam rakhna..pehli baar logo ko peeth peechey buraaai kartey dekhna.. ek dusrey ki job se jalna.. naa pyaar naa mohobatt .. sab swarth aur raajneeti ,chamchagiri..ghoonshkhori..gaali galoch .. sar e aam jhooth achaai ka mukhota.. aur zindagi ki ulti side jo college se nikalney k baad dekhi to pero talley zameen khishak gyi.. yaad aaya to wo college ka nishvaarh pyaar.. hostel ki kadi.. pyaar bhari baatein late night group chats .. ghoomna firna aawaaragardi.. college mai they to lagta tha bore ho gye chalo bahaar nikley is chaardiwaari se…lekin jab baahar nikley to aisa daldal paaya ki wo chaardiwaari hi swarg thi is baat ka ehsaas hua..”PEHLI BAAR” ye shabd harr din harr ghadi mere saath ghat raha tha..pehli baar zindagi ka anubhav jo hua tha..
Mai aksar ye sab baatein meri azaaz dost meri girlfriend meri zigri yaar ko  bataaya karta tha..ki kese zindagi mujhse mera imtihaan le rahi hai.. par wo mujhe hamesha motivate kia karti thi… isiliye mujhe ussey baat karna acha lagta tha..jis din meri us se baat naa ho lagta tha maano meri rooh sharer se chali gyi ho..ussey baat karkey college ka ehsaas hota tha..aur dil ko jhootha dilaasha milta rehta tha ki koi to hai jo aaj bhi mere saath hai harr maud pe… aise saathi bahut kamm logo ko miltey hain .. tabhi mainey kaha naa dil se mai gareeb nahi ..kyunki aise dosto se aapki saari dil ki gareebi door ho jaati hai.. mai aur meri girlfriend dunia k liye maano jese marr gye they.. kyunki hum se ab kisi ki baat nahi hoti thi..sab apney apney kaamo mai vyast ho chukey they..par sayad hum galat they.. jo ehsaas mujhe office k pehle din hua wo ehsaas kisi ko 2 mahiney baad to kisi ko 4 mahiney baad to kisi ko 6 mahiney baad hua magar thoda  sa.. kuch log khud ko sharminda nahi karna chahtey isliye dil ki baat nahi keh paatey wo log hamesha k liye door hotey jaatey hain aur jo dil ki baat keh detey hain dooriyaan unkey aaspaas bhatakti tak nahi..wo hamesha khush rehtey hain aur aashavaadi rehtey hain zindagi mai kuch naya karney ki sochtey rehtey hain..waqt k saath dheerey mai boss ki daant sehta sehta itna majboot ho gya ki mai ab kisi se nahi darta .. responsibilities uthaaney ko taiyaar rehta hun..zindagi bahut hi achi chalney lag gyi thi.. mai bhatinda jaatey huey ab chup chaap nahi betha karta tha.. ab mai wahan k logo k baarey mai socha karta tha dekhta tha ki bhatinda mai kitna anaaj k bhandaaar hain.. khet hi khet.. log yahan k kitney khuley dil k hotey hain…ek baar bus mai aatey huey bus ka accident hua raat ko to log paidal shehar ki taraf chalney lagey ek trolly waala kahi jaa raha tha to usney sabhi ko bithaaya aur shehar tak choda..ek baar bus ki battery ki wire tootey k kaaran raat k waqt bus ki light chali gyi.. dhund thi.. ek gaadi aayi aur crash ho gyi.. kisi ki naza us wire pe padi to kahin uska jugaad ho paaya aur bus chali.. aisi haalaato  mai anjaan log bhi apney lagney lagtey hain.. shimla jaatey huey vomiting ki parwaah naa rahi ab baraf aur wahan ki sundar ladkiyaan  dekhney ka shaunk dil mai betha rehta hai…dehradoon ghaati jaatey huey ab mai sota nahi balki pahaadi school k bacho ko school jaatey huey ye dekhta hun ki ek din badey ho kar ye bachey bhi is after college k ehsaas ko anubhav karengey aur meri tarah kahaani likhnegey , dhaabo mai baith kar bharpoor lunch dinner karta hun saahi paneer udaata hun aur facebook pe checkin bhi karta hun taaki mujhe chahney waalo ko khushi ho nafrat krney waalo ko jalan ho..mai khidki se baahar jungle mai  jhaank kar  ye kalpana karta hun kaash kisi din mai aur meri girlfriend yahan in junglon mai kho jaaye to kitna mazaa aayega tarzan ban k rehney mai..mai raasto main aye dost banaata hun gaaney suntan hun… aur aksar un logo k liye dukh manaata hun jo bus mai safar kar rahey hotey hain aur beech raastey kahin choot jaatey hain aur unka samaan bus mai hi reh jaata hai..mai aksar halka sa darr bhi jaata hun jab ek state cross kartey hi police waaley sabka samaan check kartey hain .. par mere bag mai se khaaney peeeney k samaan k ilaava kuch aur mil bhi kya sakta hai.. mai sabko Christmas k tohfe deta hun taaki unki khushi mai khud ki khushi dhoond saku..ye after college ehsaas bahut hi bhyanak hai..sayad hi aaj tak kisi ne is ehsaas ka kabhi filmo kahaniyo mai zikar kiya ho..magar ye ehsaas laazvaav bhi hai.. meri girlfriend jo ki bhot achi hai bhot sundar hai ..jiska dil mujhse bhi kahin bada hai.. mai jaanta hun k ek din hum bhi sab dosto ki tarah alag ho jaengey.. par uska diya hua ye pen aise ehsaaso ko kaagaz par likhta rahega aur mera sahaara ban k khadaa rahega.. chalta hun pyaar kijiye kisi ko apney boyfriend/ girlfriend ka darza dijiye.. aur unkey saath apni is life ko share kijiye.. kyunki zindagi anmol hai baar baar nahi milti jitna jiogey kamm hai.. aap kuch bhi bann saktey hain..kuch bhi karr saktey hain…bass dil bada rakhiye ehsaas jese bhi ho…chahey wo after college hi kyun naa ho us ehsaas ko samajhiye usey jaaniye uskey upar likhiye..fir dekhiye wo ehsaas kitna haseen ban jaata hai.. aur haan pyaar beshumaar kijiye duniya ko pyaar ki bahot zarurat hai aapki tarah.. khuda hafeez

$andy poet 

THE LOVE AGREEMENT

Hi friends, I want a little help from you. I have published a new book titled, "The love agreement" (एक प्रेम-समझौता).I am...

Popular Posts