Friday 28 March 2014

BIN PRERNA KA KAVI…. (poet without inspiration)


Kahan chali gyi ho tum kyu mujhe dikhti nahi;
Bin tumhaarey ye kalam bejaan kuch v likhti nahi.
Mai sochta rehta hun, par soch samajh naa paun;
Dil karta jahan hai tu,bas wahin paas terey chala aaun.
Khaali dil ka mai karu kya,kuch soch to dey is dil ko;
Bin soch k bhla kese karu door dil ki is muskil ko.
Khaali kaagaz padey hain saarey shabd  jo miltey nahi;
Kalpana ki murjhaai kaliyaan,phool unpe ab khiltey nahi.
Meri sayari mai isq tu hi ,hai tu hi jo gumnaam hai;
hai tu hi jispe ye dil fidda aur har jagah badnaam hai.
Mai door tujhse ab reh naa paunga;
Ye gumm judaai ka seh naa paunga.
Kaantey ghadiyon key taud dunga;
rukh  chadtey suraj ka v maud dunga.
Holi holi dil ka soonapan ab mujhko kha raha hai;
Tera chehra muskuraata hua harr ghadi mujhe dikha raha hai.
Bhaavnaao k baandh dil k tootney lagey;
jab ik ik karkey haath sabsey chootney lagey.
Meri dil ki ye dua hai kabhi door tu naa jaaye;
zindagi mai fir kabhi teri yaad mujhe naa aaye.
Rakhengey kyaal k ab k baar naa fir dil ki tum chot khaao;
yaad bdi aati hai tumhaari,ek baar bas waapis laut aao..

$andy’s


No comments:

Post a Comment

THE LOVE AGREEMENT

Hi friends, I want a little help from you. I have published a new book titled, "The love agreement" (एक प्रेम-समझौता).I am...

Popular Posts