Wednesday 5 February 2014

EMOTIONAL ATYAACHAAR (Blind without love)



Kabhi  yahaan isq jataatey ho, kabhi wahaan isq jataatey ho;

Kbhi iskey to kabhi uskey sapno mai chaley jaatey ho.

Jab ye aana jaana hi tumhaari aadat hai,to armaan dil mai kyu jagaatey ho tum;

Kitni baar kaha k chaahtey hain tumhe hum, bhaao  fir v itna kyu khaatey ho tum.

bin haatho se galaa davaaye ,apney kaarnaamo se dum hamaara ghutaatey ho tum;

hamaari pyaar ki dukaan se pyaar khareed k auron pe pyaar lutaatey ho tum.

hamey chaahney ka kartey ho dhong, hamaari bhaavnaao se kheltey ho tum;

apni chahtein seedhey bataatey kyu nahi,kyu be-mann se hamey jheltey ho tum.

jo tumhe chaahtey hain unki kurbaaniya, unki chaahtein tumhe dikhti nahi;

Kavitaayein likhtey hain wohi aashiq,kalmein khud  kavitaayein kabhi likhti nahi.

Itni aasaan bhaasa mai tumhe isq izhaara,nasamjh bantey ho, dikhaava ho tum;

yaa ho koi farevi chatur chaalaak ya kartey ho nautanki ya chalaava  ho tum.

Mohobatt ki naa hoti kaas tumse to ye ghut ghut k jeeney ki sajaa naa hoti;

Magar ye v sach tha k tab fir ye kavita likhney ki v koi wajah naa hoti.

Khusian cheen k hamaari ,hastey muskuraatey kisi aur se ho;

Sach mai badey kameeney ho tum, lagtey mujhe tum koi luterey chor se ho.

Hamaara kya hai, hum to chaahat k liye hi baney hain chaahtey  hi reh jaayengey;

Kadar naa hui koi pyaar ki hamaarey,isi baat pe aanshu hamesha beh jaayengey.

andhey ho tum jo tumhe hamaari aankhon se behta hua pyaar nai dikhta;

emotions to badey parakhtey ho sabkey apna kiya tumhe emotional atyaachaar nai dikhta.

$andy’s



No comments:

Post a Comment

THE LOVE AGREEMENT

Hi friends, I want a little help from you. I have published a new book titled, "The love agreement" (एक प्रेम-समझौता).I am...

Popular Posts