Jeeney do mujhe ye pall suhaana;
aaj hai apna hai par kall begaana.
ghadi ki suiyon mai jung lag jaaye;
waqt pe koi madhoshi ka rang lagg jaaye.
prithvi ko jakad lun janzeero se,aagey isey badney naa doon;
din rahey yahi hamesha,din agla kabhi chadney naa doon.
ye pall meharbaan jo mujhpe,meharbaani iski bani rahey;
haatho ki lakeeron se gareebi mittey ,hamesha ye dhanni rahey.
waqt bandhanno ko taudey nahi ;
saath apna kbhi koi chodey nahi.
darr hai kismat ki hera feri ka,kahin mujhe chall naa jaaye...
khuda se ek hi meri dua hai aaye to mujhpe tsunami aaye par zalim kabhi ye kall naa aaye...
$andy's
No comments:
Post a Comment