Tootey jo pall mai ,judney ko kai saal lagey;
tootey to do pall ki khushi,zindagi saari fir behaal lagey.
Ik waqt inhey naa dey paaya mai;
fir jaudney se thoda ghabraaya mai.
Viraasat k rishtey they kuch jo khud banaaye maine;
waqt k saaye mai saarey rishtey bhulaaye maine.
Wo kehtey rahey k matt bhaago humse,hum hi kaam aayengey.
Hum hi akelepan mai hasaatey they tumko,fir hum hi tumhe rulaengey.
Choti baat moti baat, baaton baaton k teer chaley;
jhagdey huey bebuniyaad palko k neechey neer chaley.
Naa wo samjhey naa hum samjhey samajhdaar to saarey they;
dushman baney saarey apne jo v dil k pyaarey they.
Ye gussa,ye ghrina,ye jalan ye irshaa rishton ko khaati hai;
ik maafi sache dil se kahi ik rishtey ko tootney se bachaati hai.
$andy's
No comments:
Post a Comment