Kahaaniya
aapne college life pe to bhot suni hongi padi hongi , aur yakeen maaniye un
kahaaniyo ko sun sun k aap bore ho
chukey hongey..college ko yaad kartey hi aapko 3 idiots ka kissing scene ya
student of the year ki aaliya bhatt yaad aati hogi..yehi baar baar repeat hota
hai scene..kyunki aksar college mai sab k saath ek jesi ghatnaayein ghat
ti hain.. aur sabkey saath ye
ghatnaayein pehli baar ghatt rahi hoti hain to unhe nayapan lagta hai aur wo un
kahaaniyo ko kitaabo mai likh daaltey hain… yr kahaaniyan aksar ek aakarshan se
shuru hoti hain.. ladki ko paaney ki zadozahat.. kuch raanjhanaa jesi to kuch
rabb ne ban di Jodi jesi aur thodi emotional
kahaani aur fir maa baap se baat aur is tarah unki baat pakki ..aur lo ji
mubarak ho ladka hua hai…is kahaani ko harr jagah tod marod kar dikhaaya jaata
hai ..kisi mai ladki raazi nahi hoti..ek dum nakhrey waali..maano ussey sundar
dunia mai koi bhi nahi.. kisi mai ladka raazi nahi hota maano shehnshah ho..to
kisi mai ladki k maa baap to kisi mai ladkey k maa baap ..ab aap 2 states ki
kahaani mai kho jaaengey par kahaani mai
twist aata hai jab koi doosra ladka us ladki ko chaahhney lag jaata hai… ladaai
jhagda hota hai.. mard jaanvaro ki tarah apni shakti ka pradarshan karta hai
aur balbaan mard ladki ko haasil kar leta hai.. yehi kahaani sadiyon se hazaaro
saalo se chalti aa rahi hai..aur yehi insaan ki..ya yun kahey dharti pe harr praani ki yehi kahaani
hai,..bass farak is baat ka hai k jaanvaro k case mai maata pita ka koi
hastkshep nahi hota ..college ek bhot hi shaandaar jagah hoti hai.. jahaan
duniya aapkey ishaaro pe naachti hai.. mauz hoti hai.. achey dost.. kuch jinse
pyaar ho jaata hai..kuch jinka dubaara kabhi muh dekhne ka bhi mann nahi karta
..college prem nagri hai.jahan aksar naujabaan logo ko apna jeevan saathi mil
jaata hai kyunki ek saath chaar saal bitaaney waaley ladka ladki ik doosrey k
baarey mai bahut kuch jaan jaatey hain aur is tarah shaadi k bandhan mai
bandhney k liye wo taiiiyaar rehtey hain.. par meri kahaani to college se kahin
parey hai ..meri kahaani mai college ki masti nahi..maashuka k haatho khaaya
khaana nahi.. meri kahaani mai wo college k peechey kissing scene nahi.. naa hi
hostel ki chaardiwaari k beech ka wo awaarapan hai .. naa lectures hain..naa
professors .. naa unkey chamchey.. naa hi last bench mai girlfriend k haath
pakdey betha koi boyfriend hai.. naa hi wo non veg chutkuley hain ..naa baarish
mai bheegey huey couples hain naa college canteen .. naa ho wo naatak mandli jo
shehar shehar jaa kar apney college mai honey waaley fest ki promotion karti
hai.. meri kahaani mai ye sab kuch bhi nahi hai.. meri kahaani aapko nahi padni
chaahiye agar aap ye sab padna chaahtey hain.. par padni chaahiye agar aap ye
sab kuch miss kar rahey hain…college se nikal kar mai bhot khushh tha aakhiri
din tha.. chaar saal ek hi tarah k saathiyon k saath reh kar mai pakk chukka
tha ..duniya dekhney ko mann chaah raha tha.. duniya wo duniya jisme arbo
kharbo log rehtey hain .. ..college mai kaafi dost they.. itney ki saara saal
ek ek din ek ek k ghar rahun to kamaaney
ki zarurat nahi…par zindagi abhi shuru hui hai mere dost.. ab tak aap zindagi
ko nacha rahey they ab aapki baari…
Farewell
party mai meri khoobsoorat girlfriend(
sabki hoti hai.. to meri bhi thi ofcourse)
jo ki duniya ki sabsey khoobsoorat ladki thi aisa mai manta tha..aap
sayad aisa apni girlfriend k liye maantey hon.. aur ho sakta hai meri
girlfriend aisa apney kisi doosrey boyfriend k liye maanti ho.. sambaabnaaye
yaani probability kuch bhi ho sakti hai.. ho sakta hai aap bhi kahaani padney k
baad mujhe dunia ka sabsey khoobsoorat insaan samajhney lag jaayein.. to meri
girl friend naam tha jiska ..chodiye naam mai kya rakha hai..girlfriend hi
kaafi hai… to mai apni girlfriend se aakhiri baar mil raha tha.. dono k beech
utsukta thi k kesa hoga ik dujey k bina rehna .. akhir chaar saal se ek saath
they bore ho chukey they saath reh kar..mere doosrey dost bhi they jinkey aapas
mai 36 k aankda tha.. kyunki sab kabhi dost hua kartey they 4 saal k aakir tak
sab dushman ban chukey they..yehi dosti hai..par mai aur meri girlfriend hum
bhot achey dost they .. humne bhot acha samay bitaaya tha college mai..ab baari
thi jaaney ki chalo bina kisi roney dhoney k sab alag alag ho gye koi train se
gya koi .. bus se .. koi yahin raha..koi videsh chala gya..koi aagey padney
laga koi kuch karney laga ..kisi ne shaadi kar li..to koi apni zindagi
sawaarney mai vyast.. madhu makhi jese.. bass shehad nahi detey they..bacha mai
yaani mera naam ..chodiye mera naam jaan k aap kya karengey..mai hun B.N.sharma
Bey naam Sharma…log mujhe mr. bean keh k bulaatey hain..mere paas ek choti si job thi .. college mai
placement ka naam o nishaan nahi tha..
kehtey hain naa badi dukaan feeka pakwaan..job ka pehla din kuch samajh naa
aaye.. girlfriend ki yaad sataaye ..college k din yaad aaney lagey..aankon se
tapka paani..lo shuru ho gyi meri kahaani ..lo ab kahaani shuru ho hi gyi to
characters se avgat karwa dun mai yaani bhaarat ka harr degree dhaari naujabaan
ladka jiski placement naa hui ho.. ghar se gareeb ho.. kismat se gareeb.. par
dil se gareeb naa ho..
Ek aur
gumnaam saksh jo meri zindagi mai tha wo jo harr dum mere saath tha mera pen,
jo usi girlfriend ne tohfe mai diya tha mujhe.. taaki agar mai akela padd bhi
jaaun to apni dil ki baat mai us pen k zariye kagaz par utaar kar usey aap tak
pahunchaa saku.. mai bhot hi bhaavhuk kisma ka insaan tha.. meri aankon se
aanshu behney ka intezaar kartey rehtey they k kab mai emotional hou..aur wo
behna shuru ho jaayein.. ab dil jitna bada utna kamzor ..jitna chota utna
mazboot.. concentrated mass is more harder.. jese shotput ball approx 7kg ki
hoti hai bhot hard hoti hai .. wahin 7 kilo cotton kitni jyaada hoti hai parr
naazuk hoti hai…mujhe office mai kuch acha nahi lagta tha.. mai saara din chup
chaap ek koney mai betha rehta chup chaap .. kisi se koi baat nahi..sab hasstey
they mazaak kartey they ..but mera dil kahin aur hi tha .. logo mai aksar ye galat
fehmi rehti hai k koi naukri lag gya to uskey paas pese hi pese ho jaaengey..
maano wo pese ki khadaan mai laga ho.. parr asal mai ussey din raat.. gadhey ki
tarah kaam liya jaata hai..usey insaan nahi samjhaa jaata .. usey nausikhiya
naa samajh kar ek degree dhaarak samjha jaata hai ki issey sab kuch pehley se
hi aata hai.. par hakeekat ye hai ki koi padaai aur naukri mai din raat ka
farak hai.. wahan hum knoeledge le kar aaye they par experience nahi.. par ye
baat duniya ko kon samjhaaye unhey to kaam se matlab hai tabhi hari patti
milegi.. aur college ki padaaiyo ka to sabko pata hi hota hai ki aakhiri din
mai hum exam se ek raat pehle apni kashti samandar mai utaartey hain aur kehtey
hain k asli maza to toofaano mai kishti chalaaney ka hai..pyaar mohobatt se chutkaara milta to kahin hum chain se padd
paatey ..par masha alaah humey is din ka ehsaas tha tabhi hamaari ginti college
k toppers mai hoti thi.. parr aaj ye samaaj humey topper k padd se ghaseet kar
zameen pe le aaya tha..din mai 100 baar mobile dekhna ki watsapp par koi
message to nahi aaya kisi ka.. par jahan mai pareshaan waha meri girlfriend
pareshaan to wahan mere dost bhi.. sayad kyunki college se to sabhi nikle they
akela mai hi nahi..pehli baar zindagi mai kabhi kisi ki itni yaad aai .. kisi
ko itna miss kia..kese koi chaar saal ki dosti ko itni jaldi bhool sakta hai..
aur mere jesa insaaan to kabhi bhool hi nahi sakta .. office k dheerey dheerey
journeys shuru honey lagi ..kabhi shimla kabhi dehradoon kabhi bhatinda ..
kabhi ludiana.. kabhi patila.. kabhi Nepal..kabhi Amritsar office k kaam se
door door jaana pada .. pehli baar zindagi mai akela raha mummy papa se alag
,,pehli baar zindagi mai akela soya .. door ghar se door… pehli baar sir pe
office ki responsibilities..pehli baar
tension se sir pe safaid baal nikla.. pehli baar train ka safar kiya..pehli
baar akele andheri dhund bhari raaton mai akela chala ..pehli baar mainey
baahar khaana khaaya ..pehli salary …pehla bonus.. pehli boss ki daant.. pehla
office ki politics mai kadam rakhna..pehli baar logo ko peeth peechey buraaai
kartey dekhna.. ek dusrey ki job se jalna.. naa pyaar naa mohobatt .. sab
swarth aur raajneeti ,chamchagiri..ghoonshkhori..gaali galoch .. sar e aam
jhooth achaai ka mukhota.. aur zindagi ki ulti side jo college se nikalney k
baad dekhi to pero talley zameen khishak gyi.. yaad aaya to wo college ka
nishvaarh pyaar.. hostel ki kadi.. pyaar bhari baatein late night group chats
.. ghoomna firna aawaaragardi.. college mai they to lagta tha bore ho gye chalo
bahaar nikley is chaardiwaari se…lekin jab baahar nikley to aisa daldal paaya
ki wo chaardiwaari hi swarg thi is baat ka ehsaas hua..”PEHLI BAAR” ye shabd
harr din harr ghadi mere saath ghat raha tha..pehli baar zindagi ka anubhav jo
hua tha..
Mai
aksar ye sab baatein meri azaaz dost meri girlfriend meri zigri yaar ko bataaya karta tha..ki kese zindagi mujhse
mera imtihaan le rahi hai.. par wo mujhe hamesha motivate kia karti thi…
isiliye mujhe ussey baat karna acha lagta tha..jis din meri us se baat naa ho
lagta tha maano meri rooh sharer se chali gyi ho..ussey baat karkey college ka
ehsaas hota tha..aur dil ko jhootha dilaasha milta rehta tha ki koi to hai jo
aaj bhi mere saath hai harr maud pe… aise saathi bahut kamm logo ko miltey hain
.. tabhi mainey kaha naa dil se mai gareeb nahi ..kyunki aise dosto se aapki
saari dil ki gareebi door ho jaati hai.. mai aur meri girlfriend dunia k liye
maano jese marr gye they.. kyunki hum se ab kisi ki baat nahi hoti thi..sab
apney apney kaamo mai vyast ho chukey they..par sayad hum galat they.. jo
ehsaas mujhe office k pehle din hua wo ehsaas kisi ko 2 mahiney baad to kisi ko
4 mahiney baad to kisi ko 6 mahiney baad hua magar thoda sa.. kuch log khud ko sharminda nahi karna
chahtey isliye dil ki baat nahi keh paatey wo log hamesha k liye door hotey
jaatey hain aur jo dil ki baat keh detey hain dooriyaan unkey aaspaas bhatakti
tak nahi..wo hamesha khush rehtey hain aur aashavaadi rehtey hain zindagi mai
kuch naya karney ki sochtey rehtey hain..waqt k saath dheerey mai boss ki daant
sehta sehta itna majboot ho gya ki mai ab kisi se nahi darta ..
responsibilities uthaaney ko taiyaar rehta hun..zindagi bahut hi achi chalney
lag gyi thi.. mai bhatinda jaatey huey ab chup chaap nahi betha karta tha.. ab
mai wahan k logo k baarey mai socha karta tha dekhta tha ki bhatinda mai kitna
anaaj k bhandaaar hain.. khet hi khet.. log yahan k kitney khuley dil k hotey
hain…ek baar bus mai aatey huey bus ka accident hua raat ko to log paidal
shehar ki taraf chalney lagey ek trolly waala kahi jaa raha tha to usney sabhi
ko bithaaya aur shehar tak choda..ek baar bus ki battery ki wire tootey k
kaaran raat k waqt bus ki light chali gyi.. dhund thi.. ek gaadi aayi aur crash
ho gyi.. kisi ki naza us wire pe padi to kahin uska jugaad ho paaya aur bus
chali.. aisi haalaato mai anjaan log bhi
apney lagney lagtey hain.. shimla jaatey huey vomiting ki parwaah naa rahi ab
baraf aur wahan ki sundar ladkiyaan
dekhney ka shaunk dil mai betha rehta hai…dehradoon ghaati jaatey huey ab
mai sota nahi balki pahaadi school k bacho ko school jaatey huey ye dekhta hun
ki ek din badey ho kar ye bachey bhi is after college k ehsaas ko anubhav
karengey aur meri tarah kahaani likhnegey , dhaabo mai baith kar bharpoor lunch
dinner karta hun saahi paneer udaata hun aur facebook pe checkin bhi karta hun
taaki mujhe chahney waalo ko khushi ho nafrat krney waalo ko jalan ho..mai
khidki se baahar jungle mai jhaank
kar ye kalpana karta hun kaash kisi din
mai aur meri girlfriend yahan in junglon mai kho jaaye to kitna mazaa aayega
tarzan ban k rehney mai..mai raasto main aye dost banaata hun gaaney suntan
hun… aur aksar un logo k liye dukh manaata hun jo bus mai safar kar rahey hotey
hain aur beech raastey kahin choot jaatey hain aur unka samaan bus mai hi reh
jaata hai..mai aksar halka sa darr bhi jaata hun jab ek state cross kartey hi
police waaley sabka samaan check kartey hain .. par mere bag mai se khaaney
peeeney k samaan k ilaava kuch aur mil bhi kya sakta hai.. mai sabko Christmas
k tohfe deta hun taaki unki khushi mai khud ki khushi dhoond saku..ye after
college ehsaas bahut hi bhyanak hai..sayad hi aaj tak kisi ne is ehsaas ka
kabhi filmo kahaniyo mai zikar kiya ho..magar ye ehsaas laazvaav bhi hai.. meri
girlfriend jo ki bhot achi hai bhot sundar hai ..jiska dil mujhse bhi kahin
bada hai.. mai jaanta hun k ek din hum bhi sab dosto ki tarah alag ho jaengey..
par uska diya hua ye pen aise ehsaaso ko kaagaz par likhta rahega aur mera
sahaara ban k khadaa rahega.. chalta hun pyaar kijiye kisi ko apney boyfriend/
girlfriend ka darza dijiye.. aur unkey saath apni is life ko share kijiye..
kyunki zindagi anmol hai baar baar nahi milti jitna jiogey kamm hai.. aap kuch
bhi bann saktey hain..kuch bhi karr saktey hain…bass dil bada rakhiye ehsaas
jese bhi ho…chahey wo after college hi kyun naa ho us ehsaas ko samajhiye usey
jaaniye uskey upar likhiye..fir dekhiye wo ehsaas kitna haseen ban jaata hai..
aur haan pyaar beshumaar kijiye duniya ko pyaar ki bahot zarurat hai aapki
tarah.. khuda hafeez
$andy
poet
No comments:
Post a Comment