Khusbu-e- gulaab teri
kahaan gyi,teri khoobsurti v mujhe ab bhaati nahi;
Feeka hai bejaan hai tu,khusbu isq ki tujhse mujhe ab aati nahi.
Naa terey kaantey chubhney ka dard hota hai,naa tere rang se mujhe pyaar hai koi;
Tu isq ki nishaani naa raha , ab tujhse v adhik khoobsurat or khusbudaar hai koi.
Feeka hai bejaan hai tu,khusbu isq ki tujhse mujhe ab aati nahi.
Naa terey kaantey chubhney ka dard hota hai,naa tere rang se mujhe pyaar hai koi;
Tu isq ki nishaani naa raha , ab tujhse v adhik khoobsurat or khusbudaar hai koi.
Din kya khaas banaaya izhaar isq ka karney k liye;
kholo dil k taaley tum bhi , din nahi hai aaj darney k liye.
Aksar dil ki baat dil mai rakh k poori zindagi pachtaatey hain hum;
Izhaar- e-dil karu kya tumse jab dil se hi roj batiyaatey hain hum.
Itni chocolate kha kha k tum din-b-din chocolate bantey jaa rhey ho;
Chocolate day k bahaaney humse aur chocolate mangva rhey ho.
Laaney ko to tumhaarey liye ley aayein chocolate harr sehar harr praanto ki;
Par saath hi hamey fikar hai apni jaib ki aur tumhaarey keemti daanto ki .
Dhoonda mainey yahaan wahaan;
Dhoonda mainey saara jahaan.
Poochta hai harr koi kya umar hai bachey ki teddy jiski farmais hai;
Kehtey hain hum ik 21 saal ki ladki hai jo hamaarey dil ki khwais hai.
Sabse mehanga sabse pyaara teddy ab batao kahaan se laun mai;
Tu kahey to tera dil behlaaney khud teddy tera ban jaun mai.
Vaadey kartey hain log bin sochey samjhey,nibhaana unhey aata nahi;
Saans lena jesa rehta hai yaad,vaadey yaad yun koi rakh paata nahi.
Koi vaada nahi kartey tumse aaj aisa,k kal ko bhool jaengey hum;
Vaada hai bus tumse itna apna harr kiya vaada sachey dil se nibhaengey hum.
Ik jaadu ki jhappi wo terey pyaar ki;
Saamney feeki harr khushi sansaar ki.
Harr gumm ki davaa hai wo;
Meethi si khusbu waali havaa hai wo.
Maloom nai zameen mai hun,aasmaa mai hun,hun to bs tere pyaar mai hun;
Baahein failaaye khadaa hun teri jaadu ki jhappi ke intejaar mai hun.
Tujhe paana mera maksad
nahi,mera maksad kuch ruhaani sa hai;
Isq mera bin swarth ka, ik amar prem ki koi kahaani sa hai.
Ban k aanshu khushi ka teri jheel si aankhon se behna hai mujhe;
Tujhe naa choo k terey dil ko choo k bus wahin hamesha rehna hai mujhe.
Isq mera bin swarth ka, ik amar prem ki koi kahaani sa hai.
Ban k aanshu khushi ka teri jheel si aankhon se behna hai mujhe;
Tujhe naa choo k terey dil ko choo k bus wahin hamesha rehna hai mujhe.
Nasamjh kahun kya un logo ko jo meethi baaton se fuslaatey hain tumhe;
tum baaton ki unki yakeen naa karna raah se tumhaari bhatkaatey hain tumhe.
Auron ki chikni baaton k bhram k amrit se sanni ho tum;
Tum ladki nahi meethi baaton k liye,isq k liye hi bani ho tum.
isq karkey dekho tum v,isq hi sbsey sacha hai yr;
meri ragon mai v laal isq behta hai isq meri sehat k liye acha hai yr.
$andy's
No comments:
Post a Comment